Aaj kuch likhne ka mann hai
Par kya likhu, kyu likhu?
Konsa koi likha hua maanta hai
Dharam ka masla to aaj hal ho gya
Par jal ka masala , kaise hal hoga?
Jo haalat hai aaj jal ki,
uske bina kaise kal hoga?
Kaash jitna fikar mazhab ka hai,
utna fikar kudrat ka bhi hota
Kudrat to bhagwaan ka jeeta jaagta roop hai
Bhagwaan ko to humne dekha bhi nhi!!